Monday, August 18, 2014

Zindagi Saboodana Hai

The first poem composed by a friend-
A slightly different vision of life with a touch of humor..


Choti Choti yaadon ka khazana hai,
Kuch pal beet gaye kuch ko sazana hai..
Sala har jagah gyan baat ke ye jana hai,
Sach, zindagi saboodana hai..
Kisi ko kilpaya to kisi ko kilpana hai,
Jisko apna mana usko bataya aur abhi bohuto ko batana hai..
Par sabke pass apna bahana hai, aur mera..
Zindagi saboodana hai..
Duniya dari se muh modkar,
Harry bhai ka adhrishya chonga odhkar...
Sabke kaan ke niche bajana hai..
Sach, zindagi saboodana hai..
Gol matol si zindagi, choti si potli mein simti,
Sabne ghoti isme chulbuli si chimti..
Dhudh si safed par kab tak isko chabana hai hai,
Haan farhan ki mummy ka naam shabana hai..
Par zindagi toh saboodana hai..
Time pass karna aur karana hai,
Khud ko poet banana hai..
Na koi imaan na koi dharam,
Bas chana zor garam.. :)


- By Aayush Jain
http://ajevenflow.blogspot.in/

2 comments: